aaina aisa kabhi dekha na tha 
mere chehre mein mera chehra na tha 
nind lipTi rah gai is KHwab se 
dar-haqiqat KHwab jo apna na tha 
ek paDosi dusre se na-balad 
be-murawwat shahr to itna na tha 
raushni ka ye bhi hai ek tajraba 
main jahan bhaTka tha andhiyara na tha 
hath jo khola to bachcha ro paDa 
band muTThi mein koi sikka na tha
 
        Ghazal
Aaina aisa kabhi dekha na tha
Mushtaq Sadaf

