اردو हिंदी
Aaina ab juda nahin karta | Shaahi Shayari
aaina ab juda nahin karta

Ghazal

Aaina ab juda nahin karta

Muneer Niyazi

;

aaina ab juda nahin karta
qaid mein hun riha nahin karta

mustaqil sabr mein hai koh-e-giran
naqsh-e-ibrat sada nahin karta

rang-e-mahfil badalta rahta hai
rang koi wafa nahin karta

aish-e-duniya ki justuju mat kar
ye dafina mila nahin karta

ji mein aae jo kar guzarta hai
tu kisi ka kaha nahin karta

ek waris hamesha hota hai
taKHt KHali raha nahin karta

ahd-e-insaf aa raha hai 'munir'
zulm daem hua nahin karta