aainon se dhul miTane aate hain
kuchh mausam to aag lagane aate hain
nind to goya in aankhon ki dushman hai
mujh ko phir bhi KHwab suhane aate hain
in aankhon mein rang tumhaare khulte hain
ye mausam kab phul khilane aate hain
rona hansna hansna rona aadat hai
hum ko bhi kuchh dard chhupane aate hain
shabnam shabnam KHwab utarte hain mujh par
sau sau suraj dhup ugane aate hain
jism dukan hai zehn bikau shahron mein
jangal to do-chaar diwane aate hain

Ghazal
Aainon se dhul miTane aate hain
Saleem Muhiuddin