aaine se kab talak tum apna dil bahlaoge
chhaenge jab jab andhere KHud ko tanha paoge
aarzu arman KHwahish justuju wade wafa
dil laga kar tum zamanae bhar ke dhoke khaoge
har hasin manzar se yaro fasle qaim rakho
chand gar dharti pe utra dekh kar Dar jaoge
zindagi ke chand lamhe KHud ki KHatir bhi rakho
bhiD mein har-dam rahe to KHud bhi gum ho jaoge
us gali mein ja rahe ho ishq hai ruswa jahan
soch lo phir soch lo pachhtaoge pachhtaoge
Ghazal
Aaine se kab talak tum apna dil bahlaoge
Dinesh Thakur