aaine par jami hui hairat ko dekhna
kya bar bar ek hi surat ko dekhna
hasil ye hai ki ek hi hai sifr ka hisab
manafi ko dekhna kabhi musbat ko dekhna
ai waqt tu kahin bhi kisi ka hua hai kya
kya tujh ko dekhna teri saat ko dekhna
danishwaran-e-waqt hon jab mahw-e-guftugu
chup rah ke darmiyan meri wahshat ko dekhna
pahle to kaam dekhna mera wara-e-waqt
phir kaam mein dabi hui fursat ko dekhna
Ghazal
Aaine par jami hui hairat ko dekhna
Meer Ahmad Naved