aaine mein ghurne wala hai kaun
aur us ke samne wala hai kaun
har qadam karta hai jo meri nafi
mere andar bolne wala hai kaun
main agar hun aasman-dar-asman
ye zamin par rengne wala hai kaun
kis ke pichhe dauDta rahta hun main
aage aage bhagne wala hai kaun
main hun aatish-dan se chipka hua
barf-o-baran nachne wala hai kaun
ain mere dhyan par karta hai war
mujh ko mujh se chhinne wala hai kaun
kaun hai 'betab' aaKHir gum-shuda
aur us ko DhunDne wala hai kaun

Ghazal
Aaine mein ghurne wala hai kaun
Pritpal Singh Betab