aaine mein dekh ke chehra be-shak main hairan hua
dil ki duniya luT gaya hai jo dil ka mehman hua
tu ne apna chain ganwaya meri nind uDa di hai
dil ke nazuk rishte mein to donon ka nuqsan hua
tere sanson ki KHushbu se mahak rahi hai tanhai
tera ek tabassum mere jine ka saman hua
kahan gae wo jin ke dam se kheton mein hariyali thi
suni kyun ganw ki galiyan kyun aangan viran hua
kitne fankaron ne ab tak jazbon ko alfaz diye
apne gham ka sarmaya hi shair ki pahchan hua
waise to aasan nahin tha khulna band kiwaDon ka
daKHil hona dil mein lekin dastak se aasan hua
Ghazal
Aaine mein dekh ke chehra be-shak main hairan hua
Devmani pandey