aaine ke aaKHiri izhaar mein
main bhi hun sham-e-abad-asar mein
dekhte hi dekhte gum ho gai
raushni baDhti hui raftar mein
qatra qatra chhat se hi risne lagi
dhup ka rasta na tha diwar mein
apni aankhen hi main bhul aaya kahin
raat itni bhiD thi bazar mein
bar bar aata raha hai tera nam
aaina hoti hui guftar mein
dur tak bichhti chali jati thi nind
KHwab aata hi na tha izhaar mein
Ghazal
Aaine ke aaKHiri izhaar mein
Zia-ul-Mustafa Turk