اردو हिंदी
Aaina saf tha dhundla hua rahta tha main | Shaahi Shayari
aaina saf tha dhundla hua rahta tha main

Ghazal

Aaina saf tha dhundla hua rahta tha main

Anjum Saleemi

;

aaina saf tha dhundla hua rahta tha main
apni sohbat mein bhi ghabraya hua rahta tha main

apna chehra mujhe katbe ki tarah lagta tha
apne hi jism mein dafnaya hua rahta tha main

jis mohabbat ki zarurat thi mere logon ko
us mohabbat se bhi baz aaya hua rahta tha main

tu nahin aata tha jis roz Tahalne ke liye
shaKH ke hath pe kumlaya hua rahta tha main

dusre log batate the ki main kaisa hun
apne bare hi mein bahkaya hua rahta tha main