aaina pyar ka ek aks tera mange hai
dil bhare shahr mein bas teri sada mange hai
jism KHud-sar hai ki har dard sahe jata hai
aisa ziddi hai ki jine ki saza mange hai
raat Dhal jae to hathon ki lakiren jagen
be-sukun zehn hamesha ye dua mange hai
KHush badan ho to zara KHud ko bacha kar rakkho
mausam-e-zard koi peD hara mange hai
main hi KHud ko kisi maqtal mein saja kar rakh dun
tez aandhi koi nanha sa diya mange hai
kaun hai jo ki sarabon se ulajhna chahe
kaun hai jo ki mere ghar ka pata mange hai
parwarish jis mein gul-e-taza ki hoti hai 'niyaz'
pyar ka phul wahi aab-o-hawa mange hai
Ghazal
Aaina pyar ka ek aks tera mange hai
Niyaz Husain Lakhwera