aaina kabhi qabil-e-didar na howe
gar KHak ke sath us ko sarokar na howe
kya KHak kaho us mein tajalli ho numayan
KHurshid ka jo zarra parastar na howe
gar mehr na ho dagh ke ulfat ki gawahi
manzur mere dard ka tumar na howe
dil KHwab ki ghaflat se mabaada kahin chaunke
ye fitna-e-KHwabida hi bedar na howe
ishq ahl-e-wafa bich use qadr hai kya KHak
wo dil ki jo gard-e-rah-e-dildar na howe
Ghazal
Aaina kabhi qabil-e-didar na howe
Ishq Aurangabadi