aaina-e-wahshat ko jila jis se mili hai
wo gard rah-e-tark-e-marasim se uThi hai
sadiyon ke tasalsul mein kahin gardish-e-dauran
pahle bhi kahin tujh se mulaqat hui hai
ai karb-o-bala KHush ho nai nasl ne ab ke
KHud apne lahu se teri tariKH likhi hai
us kaj-kulah-e-ishq ko ai mashq-e-sitam dekh
sar tan pe nahin phir bhi wahi sarw-qadi hai
kis rah se tujh tak ho rasai ki har ek samt
duniya kisi diwar ke manind khaDi hai
zindan ki fasilen hon ki maqtal ki fazaen
raftar-e-junun bhi kahin roke se ruki hai
jis rup mein jab chahe jise Dhaal de 'ummid'
duniya bhi ajab kar-gah-e-kuza-gari hai
Ghazal
Aaina-e-wahshat ko jila jis se mili hai
Ummeed Fazli