aaina-e-rangin-e-jigar kuchh bhi nahin kya
kya husn hi sab kuchh hai nazar kuchh bhi nahin kya
chashm-e-ghalat-andaz ke shayan bhi na Thahre
jazb-e-gham-e-pinhan mein asar kuchh bhi nahin kya
nazren hain kisi ki ki hai ek aatish-e-sayyal
yun aag lagane mein KHatar kuchh bhi nahin kya
adna sa ishaara bhi hai jis ka mujhe ek hukm
us par meri aahon ka asar kuchh bhi nahin kya
mana mere jalne se na aanch aaegi tum par
lekin mere jalne mein zarar kuchh bhi nahin kya
yun bhi koi duniya ki nigahon se na gir jae
'mulla' ko bura kahne mein Dar kuchh bhi nahin kya
Ghazal
Aaina-e-rangin-e-jigar kuchh bhi nahin kya
Anand Narayan Mulla