اردو हिंदी
Aaina-e-nigah mein aks-e-shabab hai | Shaahi Shayari
aaina-e-nigah mein aks-e-shabab hai

Ghazal

Aaina-e-nigah mein aks-e-shabab hai

Akhtar Ansari

;

aaina-e-nigah mein aks-e-shabab hai
duniya samajh rahi hai ki aankhon mein KHwab hai

roe baghair chaara na rone ki tab hai
kya chiz uf ye kaifiyat-e-iztirab hai

ai soz-e-jaan-gudaz abhi main jawan hun
ai dard-e-la-ilaj ye umr-e-shabab hai