اردو हिंदी
Aaina-e-KHayal tere ru-ba-ru karen | Shaahi Shayari
aaina-e-KHayal tere ru-ba-ru karen

Ghazal

Aaina-e-KHayal tere ru-ba-ru karen

Zakir Khan Zakir

;

aaina-e-KHayal tere ru-ba-ru karen
jitni shikayaten hain sabhi du-badu karen

jalne laga hai ab to ye sanson ka pairahan
mayusiyon ki aag se kab tak rafu karen

ahbab ke KHulus mein ab wo kashish kahan
phir kya milen kisi se koi aarzu karen

ahl-e-junun ke haq mein hai hukm-e-KHuda yahi
tabligh-e-dard harf-o-sada ku-ba-ku karen

arz-o-saman ke beach muallaq hai kyun dua
'zakir' chalo ki tur pe kuchh guftugu karen