aaina-e-KHayal tha aks-pazir raaz ka
tur shahid ho gaya jalwa-e-dil-nawaz ka
paya bahut kiya buland us ne harim-e-naz ka
ta na pahunch sake ghubar-e-rah-guzar-e-niyaz ka
KHastagi-e-kalim ne nukta ajab samjha diya
warna harif mein bhi tha is mizha-e-daraaz ka
dair mila tha rah mein kabe ko hum nikal gae
jazba-e-shauq mein dimagh kis ko ho imtiyaz ka
bandagi aur sahabi asl mein donon ek hain
jis ka ghulam ayaz hai wo hai ghulam ayaz ka
go tahi-nasib ne dur rakha to kya hua
banda-e-KHana-zad hun us ke qad-e-daraaz ka
shauq tera hai maujzan zauq tera bahana-ju
khol na den bharam kahin parad gyan raaz ka
masti-e-be-KHudi se yan aankh khuli na hashr tak
yani yahi jawab tha nargis-e-nim-baz ka
aah-o-fughan ke sath sath chha gai ek be-KHudi
qat-e-zaban zarur tha sham-e-zaban-daraaz ka
KHak mein mil gae wale aankh uThi na sharm se
hum se hua na haq ada us ki nigah-e-naz ka
mutrib-e-KHuld kya sunae wahshat-e-KHasta kya sune
mo'taqid-e-qadim hai zamzama hijaz ka
Ghazal
Aaina-e-KHayal tha aks-pazir raaz ka
Wahshat Raza Ali Kalkatvi