اردو हिंदी
Aaina-e-ibrat hai mera dil bhi jigar bhi | Shaahi Shayari
aaina-e-ibrat hai mera dil bhi jigar bhi

Ghazal

Aaina-e-ibrat hai mera dil bhi jigar bhi

Saqib Lakhnavi

;

aaina-e-ibrat hai mera dil bhi jigar bhi
ek dard ki taswir idhar bhi hai udhar bhi

kya tum se shikayat mujhe qismat se gila hai
phirta hai muqaddar to palaTti hai nazar bhi

us ko bhi nikal ai dil-e-pur-dagh ke gulchin
kanTa hai mere pahlu-e-KHali mein jigar bhi

bas nala-e-dil bas mujhe ummid nahin hai
munh dekhne walon mein hai zalim ke asar bhi

milne se bhi un ke na-howe dil ko tasalli
waslat ki masarrat bhi rahi subh ka Dar bhi

thame hain kaleja wo mere dil ko dukha ke
ek tir ki tasir idhar bhi hai udhar bhi

hosh uDte hain gum-gashtagi-e-ahl-e-adam se
is dasht-e-siyah-roz mein anqa hai KHabar bhi

pis kar tere hathon ki hina jab se hua dil
ek KHun ka chullu nazar aata hai jigar bhi

TukDe tha kaleja mera KHud jaur-e-falak se
pahlu se gai chhan ke dil un ki nazar bhi

tanhai-e-furqat mein koi pas na Thahra
ruKHsat hua aaKHir ko duaon se asar bhi

har KHauf se pahlu ka bachana nahin achchha
ai amn-talab hashr mein kaam aaega Dar bhi

kya zaKHm-e-dil ummid rakhe us se ki jis ne
dekha na kabhi chaak-e-gareban-e-sahar bhi

rudad hai kya shahr-e-KHamoshan ki ilahi
is bab mein KHamosh hain arbab-e-KHabar bhi

taswir bana dijiye mujh ko kisi surat
le jaiye pahlu se mera dil bhi jigar bhi

sid hadsa-e-dahr ki TuTi na ajal se
jati nahin un tak mere marne ki KHabar bhi

ye hukm-e-mohabbat hai ki dil us pe fida hai
'saqib' jise dekha na kabhi ek nazar bhi