aaina-e-dil mein kuchh agar hai
tera hi jamal jalwa-gar hai
hum mar gae teri justuju mein
be-rahm kahan hai tu kidhar hai
rahbar nahin chahti rah-e-ishq
wan shauq hi apna rahbar hai
kyun mare hai laf hajj-e-akbar
apne kiye par bhi kuchh nazar hai
kabe si jagah pahunch phir aaya
tu haji nahin hai gidi KHar hai
us dar hi ki aarzu mein 'joshish'
ye musht-e-ghubar dar-ba-dar hai
Ghazal
Aaina-e-dil mein kuchh agar hai
Joshish Azimabadi