aaina dekhte hi wo diwana ho gaya
dekha kise ki shama se parwana ho gaya
gul kar ke shama soe the hum na-murad aaj
raushan kisi ke aane se kashana ho gaya
diwana qais pahle hamein chheDta raha
phir rafta rafta najd mein yarana ho gaya
kafi na mohr-e-KHum ko hue lukka-ha-e-abr
ab is qadar wasia ye KHum-KHana ho gaya
hasil ba-iKHtisas hai us dil ko ye sharaf
kaba bana kabhi kabhi but-KHana ho gaya
lae chura ke bahar-e-parastish buton ko ghar
viran chaar rose mein but-KHana ho gaya
munh chum lun ye kis ne kaha mujh ko dekh kar
diwana tha hi aur bhi diwana ho gaya
toDi thi jis se tauba kisi ne hazar bar
afsos nazr-e-tauba wo paimana ho gaya
mai tauba ban ke aai thi lab tak ki ai 'riyaz'
labrez apni umr ka paimana ho gaya
Ghazal
Aaina dekhte hi wo diwana ho gaya
Riyaz Khairabadi