aaina dekh kar na to shishe ko dekh kar
hairan dil hai aap ke chehre ko dekh kar
ye waqia bhi KHub sar-e-rah-guzar hua
patthar ne munh chhapa liye shishe ko dekh kar
bazar se guzarte hue lag raha hai Dar
bachcha machal na jae khilaune ko dekh kar
jugnu ki koshishon se sahar kaise ho gai
hairan hain andhere ujale ko dekh kar
sach bolne ka hausla kuchh aur baDh gaya
'amabar' faraaz-e-dar pe sachche ko dekh kar
Ghazal
Aaina dekh kar na to shishe ko dekh kar
Amber Waseem Allahabadi