aaina-dar-aina qad-awari ka karb hai
gum-shuda danish-wari hai KHud-sari ka karb hai
mera dukh ye hai ki main na-mo'tabar lashkar mein hun
sar-ba-neza main nahin hun ek jari ka karb hai
bhuk ko nisbat nahin gehun ki paidawar se
mera dastar-KHwan KHali tashtari ka karb hai
ek taraf yaron ki yari ka bharam khulta hua
ek taraf iKHlas ki baKHiya-gari ka karb hai
apne darwaze pe baiTha sochta rahta hun main
mera ghar ajdad ki bara-dari ka karb hai
wo zamana hai ki ab tar-e-nafas bhi hai giran
baad ki manzil to bas KHush-paikari ka karb hai
waqt ki mizan par binai KHandan hai 'sharar'
kor-binon mein bhi ab dida-wari ka karb hai
Ghazal
Aaina-dar-aina qad-awari ka karb hai
Kaleem Haider Sharar