اردو हिंदी
Aaina bhi aaina-gar se ulajhta rah gaya | Shaahi Shayari
aaina bhi aaina-gar se ulajhta rah gaya

Ghazal

Aaina bhi aaina-gar se ulajhta rah gaya

Munawwar Aziz

;

aaina bhi aaina-gar se ulajhta rah gaya
main hi is bahrup ghar mein ek jhuTa rah gaya

aankh khulte hi umaD aai hai kitni tirgi
dekhte hi dekhte suraj sitara rah gaya

sar-phiri aandhi ne aaKHir kar diya qissa tamam
main charaghon ki lawon par hath rakhta rah gaya

naqsh dhundlae to chehre ki shanasai gai
aankh putli mein larazta ek hayula rah gaya

mauj-e-dariya se mile shayad numu ka zaiqa
jhilmilata aab-e-dariya reg-e-dariya rah gaya

ab 'munawar' kaun laega KHabar us par ki
kis ko lahron se nimaTne ka saliqa rah gaya