aaina ban ke apna tamasha dikhaen hum
yun samne rahen ki nazar bhi na aaen hum
mumkin hai daur-e-jashn-e-charaghan ho jab yahan
wo tirgi baDhe ki sahife jalaen hum
darpesh hai guzishta ruton ka safar hamein
hairat na kar ki lauT ke wapas na aaen hum
taufiq-e-sair-e-bagh agar ho to ab ki sham
dil ki jagah shajar pe parinde banaen hum
KHamosh ho raho ki sar-e-shahr-e-arzu
uftad wo paDi hai ki ab kya bataen hum
Ghazal
Aaina ban ke apna tamasha dikhaen hum
Ahmad Shahryar