اردو हिंदी
Aaina ban jaiye jalwa-asar ho jaiye | Shaahi Shayari
aaina ban jaiye jalwa-asar ho jaiye

Ghazal

Aaina ban jaiye jalwa-asar ho jaiye

Saba Akbarabadi

;

aaina ban jaiye jalwa-asar ho jaiye
samne wo hon to sar-ta-pa nazar ho jaiye

soz-e-dil se gosha-e-tanhai mein kya faeda
is tarah jaliye charagh-e-rahguzar ho jaiye

is udasi ka dhundlaka KHatm ho shayad kabhi
sham se pahle hi unwan-e-sahar ho jaiye

manzil-e-ulfat pe dil tanha pahunch sakta nahin
aap agar chahen to mere ham-safar ho jaiye

KHud-baKHud sare zamane ko KHabar ho jaegi
hoshiyari hai ki sab se be-KHabar ho jaiye

shauq kahta hai ki sajdon mein tasalsul chahiye
dil ye kahta hai ki jazb-e-sang-e-dar ho jaiye

jab kisi se pesh-qadmi zulm ki rukti na ho
us jagah lazim hai KHud sina-sipar ho jaiye

ek azab-e-mustaqil hai fikr-e-tamir-e-makan
sakin-e-sahra-e-be-diwar-o-dar ho jaiye

kashmakash mein infiradiyyat zaruri hai 'saba'
jis taraf koi nahin hota udhar ho jaiye