اردو हिंदी
Aai to kahin koi qayamat nahin ab ke | Shaahi Shayari
aai to kahin koi qayamat nahin ab ke

Ghazal

Aai to kahin koi qayamat nahin ab ke

Lutf-ur-rahman

;

aai to kahin koi qayamat nahin ab ke
is shahar mein ek sar bhi salamat nahin ab ke

yun KHema-e-gul KHak hua fasl-e-junun mein
phulon pe koi rang-e-malahat nahin ab ke

kya jaaniye kis dasht ka paiwand hua hai
ek shaKHs sar-e-ku-e-malamat nahin ab ke

ab TuT ke sahra mein bikharne ki hawas hai
ek gosha-e-daman pe qanaat nahin ab ke

han ab na rahi dar-o-rasan se koi nisbat
han pesh-e-nazar wo qad-o-qamat nahin ab ke

wo zaKHm mile dil ko sar-e-manzil-e-qurbat
ek dushman-e-jaan se bhi shikayat nahin ab ke

KHud us ne kiya faisla-e-tark-e-talluq
KHud mujh se mere dil ko nadamat nahin ab ke