اردو हिंदी
Aai patjhaD gire fasl-e-gul ke nishan raat-bhar mein | Shaahi Shayari
aai patjhaD gire fasl-e-gul ke nishan raat-bhar mein

Ghazal

Aai patjhaD gire fasl-e-gul ke nishan raat-bhar mein

Hasan Akhtar Jaleel

;

aai patjhaD gire fasl-e-gul ke nishan raat-bhar mein
kaT gae kaise kaise sajile jawan raat bhar mein

TuTti pattiyon ki nigahon mein bechaargi hai
rakh si bujh gai panchhiyon ki fughan raat-bhar mein

do-ghaDi aur sun meri furqat ke betab nauhe
KHatm kaise ho ek umr ki dastan raat-bhar mein

to jo aaya to guzri bahaaren bhi hamrah laya
yaad ke dasht mein khil gae gulsitan raat-bhar mein

us ko pahchan pai na suraj ki pahli kiran bhi
jaise nauras kali ho gai ho jawan raat-bhar mein

laya kya kya guhar soch sagar se sapnon ka manjhi
mil gain kitni khoi hui kashtiyan raat-bhar mein