aai nahin kya qaid hai gulshan mein saba bhi
aane lagi zanjir ki kanon mein sada bhi
pa jaega dil us mein bhi taKHsis ke pahlu
malum ye hota to na karte wo jafa bhi
DhunDa kiye har gam pe hathon ka sahaara
bhule se kabhi bahr-e-dua hath uTha bhi
shane pe bikhere hue nikhri hui zulfen
barsi bhi to ghanghor ajab hai ye ghaTa bhi
bhaya hai jo mukhDe ko chhupane ka tariqa
dekho kabhi aankhon ko charane ki ada bhi
jaise ho kanwal aab mein pakiza tabiat
rahte hue duniya mein hain duniya se juda bhi
har aan jafa jaan ke karte ho sitam hai
har sans ye kahti hai ki ho jaan-e-wafa bhi
aankhen ye batati hain ki dil aur kahin hai
kahna tha mujhe tum se abhi is ke siwa bhi
mumkin hai gire koi himala se to uTh jae
'hamid' kabhi uTTha hai nigahon se gira bhi
Ghazal
Aai nahin kya qaid hai gulshan mein saba bhi
Syed Hamid