aai KHizan chaman mein gae din bahaar ke
sharminda sab daraKHt hain kapDe utar ke
make-up se chhup sakengi KHarashen na waqt ki
aaina sari baaten kahega pukar ke
insan simaTta jata hai KHud apni zat mein
bandhan bhi khulte jate hain sadiyon ke pyar ke
phir kya karega rah ke koi tere shahr mein
raaten hi jab nasib hon raaten guzar ke
socha hai apne zaKHmon ke aangan mein baiTh kar
sajde karunga naqsh-e-tamanna ubhaar ke
tanhaiyon ka dard sameTe hue koi
'farhat' chala hai Thokaren duniya ko mar ke
Ghazal
Aai KHizan chaman mein gae din bahaar ke
Farhat Qadri