aai hai jaane kaise ilaqon se raushni
aur DhunDhti hai kis ko zamanon se raushni
ho kar rahi wo ek zamane pe munkashif
diwar se ruki na darichon se raushni
mauj-e-yaqin ke hath na aai tamam-umr
wo lau jise mili hai gumanon se raushni
karte hain aaj us pe mah-o-aftab rashk
aankhon ko jo mili tere KHwabon se raushni
mahki hui hun aap ki qurbat se meri jaan
kal raat kah rahi thi charaghon se raushni
pahle main ek harf-e-ujala aur us ke baad
aane lagi hai kitni kitabon se raushni
pahle charagh-e-chashm ko raushan kiya tha main
phir phuTne lagi thi sitaron se raushni
harf-e-suKHan se khul gai duniya pe ai 'atiq'
dil mein hai kaise kaise KHayalon se raushni
Ghazal
Aai hai jaane kaise ilaqon se raushni
Ateeq Ahmad