aai hai aise gham mein rawani parat parat
bahne laga hai aankh se pani parat parat
bandha hai jab se tere tasawwur ko sher mein
sheron ke khul rahe hain maani parat parat
chhaya raha ho jaise buDhapa nafas nafas
guzri hai aise apni jawani parat parat
dil ke waraq waraq pe tera nam sabt hai
ek tu hi dhaDkanon mein hai jaani parat parat
gard-o-ghubar gham se aTi hai faza faza
hoti thi koi rut jo suhani parat parat
lekin bana na qais ki surat hamara nam
sahra ki KHak hum ne bhi chhani parat parat
koi jawaz de na saka meri baat ka
us ne ghalat kaha hai zabani parat parat
yaaden dila rahi hai sitamgar ki bar bar
mujh ko rula rahi hai nishani parat parat
hasil karunga jaise bhi mumkin hua use
main ne 'nabil' dil mein hai Thani parat parat
Ghazal
Aai hai aise gham mein rawani parat parat
Nabeel Ahmad Nabeel