اردو हिंदी
Aai hai ab yaad kya raat ek bite sal ki | Shaahi Shayari
aai hai ab yaad kya raat ek bite sal ki

Ghazal

Aai hai ab yaad kya raat ek bite sal ki

Muneer Niyazi

;

aai hai ab yaad kya raat ek bite sal ki
yahi hawa thi bagh mein yahi sada ghaDiyal ki

mahak ajab si ho gai paDe paDe sanduq mein
rangat phiki paD gai resham ke rumal ki

shahr mein Dar tha maut ka chand ki chauthi raat ko
inTon ki is khoh mein dahshat thi bhaunchaal ki

sham jhuki thi bahr par pagal ho kar rang se
ya taswir thi KHwab mein mere kisi KHayal ki

umr ke sath ajib sa ban jata hai aadmi
haalat dekh ke dukh hua aaj us pari-jamal ki

dekh ke mujh ko ghaur se phir wo chup se ho gae
dil mein KHalish hai aaj tak is an-kahe sawal ki