aahon se mere ghar mein hawa garm rahegi
main jaunga to bhi meri ja garm rahegi
bharte hi rahenge nafas-e-sard hazaron
jab tak ki tari aan-o-ada garm rahegi
jalna mere tab dil ka lagega ye Thikane
sohbat tari jab mujh se sada garm rahegi
choTi mein dil-soKHta ko gundh ke pyare
mat phek qifa par ki qifa garm rahegi
bulbul na mujhe dijiyo to nale ki taklif
warna asar is ke se saba garm rahegi
jab tak nahin to duKHtar-e-raz hi ko rakhunga
kuchh to ye baghal meri bhala garm rahegi
ushshaq ko targhib-e-mohabbat hi karega
jab tak hai 'hasan' bazm-e-wafa garm rahegi
Ghazal
Aahon se mere ghar mein hawa garm rahegi
Meer Hasan