aahon se honge gumbad-e-haft-asman KHarab
kis kis makan ko na karega dhuan KHarab
mar kar bhi apne sath rahen harza-gardiyan
hai musht-e-KHak surat-e-reg-e-rawan KHarab
qamat wo hai ki jis se qayamat hai aashkar
naqsha wo hai ki jis se hai naqsh-e-jahan KHarab
tab-o-tawan ko jism mein yun DhunDhti hai ruh
jaise ghubar-e-rah pas-e-karwan KHarab
na-saz ho mizaj to baaton mein kya maza
bimar ki tarah hai zaban o dahan KHarab
zewar zawal-e-husn mein pahna to kya bahaar
patte sunahre surat-e-barg-e-KHizan KHarab
qitmir se karunga sag-e-yar ka gila
marqad ke ghaar mein jo huin haDDiyan KHarab
ai 'bahr' tujh ko DhunD phire shash-jihat mein hum
tera pata kahin bhi hai o KHanuman-KHarab
Ghazal
Aahon se honge gumbad-e-haft-asman KHarab
Imdad Ali Bahr