aahon ki aazaron ki aawazen thin 
rah mein gham ke maron ki aawazen thin 
dur KHala mein ek siyahi phaili thi 
basti mein angaron ki aawazen thin 
aankhon mein KHwabon ne shor machaya tha 
aasman par taron ki aawazen thin 
ghar ke bahar aawazen thin raston ki 
aur ghar mein diwaron ki aawazen thin 
ab mujh mein ek sannaTe ki chiKHen hai 
pahle kuchh bimaron ki aawazen thin 
us basti pe majburi ka saya tha 
ghar ghar mein bazaron ki aawazen thin
        Ghazal
Aahon ki aazaron ki aawazen thin
Ain Irfan

