aahista boliyega tamasha khaDa na ho
bairun-e-KHwab koi hamein sun raha na ho
diwaren uTh gai na hon dasht-e-junun mein
ram-KHurda wo ghazal kahin gum-shuda na ho
raKHt-e-safar mein bandh len pur-shor kuchh bhanwar
dariya hai pur-sukun safar be-maza na ho
yun to wo ek aam sa patthar hai mil ka
lekin wahan se aage agar rasta na ho
masjid pukarti rahi hayya-alal-falah
jaise hamara apna koi falsafa na ho
hum kaT denge umr ki zanjir ek din
ham-zad karb-e-did se shayad riha na ho
ek chand mujh ko takta rahta hai in dinon
jaise siwae mere koi aaina na ho
hans hans ke us se baaten kiye ja rahe ho tum
'sabir' wo dil mein aur hi kuchh sochta na ho

Ghazal
Aahista boliyega tamasha khaDa na ho
Sabir