aahen bharenge hum kabhi nala karenge hum
jab tak na boliyega pukara karenge hum
duniya ko din din ko duniya karenge hum
tere banenge hum tujhe apna karenge hum
kuchh hai to yaadgar-e-mohabbat yahi sahi
wo chhoD den sitam bhi to phir kya karenge hum
dawe baDe hain tum ko jawani ki nind par
achchha to aaj raat ko nala karenge hum
dil aisa sath khela hua dost aur dagha
ab kya kisi pe KHak bharosa karenge hum
phir taliban-e-did ko aankhen fuzul den
jab aap jaanne the ki parda karenge hum
tinke chune kabhi to kabhi KHak uDai hai
'manzar' na jaane aur abhi kya karenge hum
Ghazal
Aahen bharenge hum kabhi nala karenge hum
Manzar Lakhnavi