اردو हिंदी
AahaTon se dimagh jalta hai | Shaahi Shayari
aahaTon se dimagh jalta hai

Ghazal

AahaTon se dimagh jalta hai

Samad Ansari

;

aahaTon se dimagh jalta hai
aaj sikka hawa ka chalta hai

thartharaati hai lau mashiyyat ki
ek mahshar faza mein palta hai

sar uThate hain naqsh panw tale
saya jab aadmi ka Dhalta hai

rang chunta hai zehn billor
jism jab dhup se pighalta hai

apne mehwar pe sham tak suraj
kitne hi zawiye badalta hai

kar ke patthar se pash pash hamein
shahr ka shahr hath malta hai

shoala-zan hai gham-e-hayat 'samad'
parbaton se dhuan nikalta hai