اردو हिंदी
AahaTen sun kar hi mar jati hai sahraon ki KHak | Shaahi Shayari
aahaTen sun kar hi mar jati hai sahraon ki KHak

Ghazal

AahaTen sun kar hi mar jati hai sahraon ki KHak

Misdaque Azmi

;

aahaTen sun kar hi mar jati hai sahraon ki KHak
ab tere wahshi se Dar jati hai sahraon ki KHak

is junun-e-ishq ki Thokar mein aa jaane ke baad
aasmanon mein bikhar jati hai sahraon ki KHak

KHushnuma manzar bhi sab dhundhle nazar aate hain yar
jab dilon mein bhi utar jati hai sahraon ki KHak

kaun KHema-zan kahan hai aaie DhunDen yahan
pal mein sab kuchh KHak kar jati hai sahraon ki KHak

ungliyan teri pakaD kar sun le ai baad-e-saba
gulshanon mein bhi utar jati hai sahraon ki KHak

panw phailati hai ye sahra-nawardi jab meri
har taraf 'misdaq' bhar jati hai sahraon ki KHak