اردو हिंदी
AahaT pe kan dar pe nazar is tarah na thi | Shaahi Shayari
aahaT pe kan dar pe nazar is tarah na thi

Ghazal

AahaT pe kan dar pe nazar is tarah na thi

Bashar Nawaz

;

aahaT pe kan dar pe nazar is tarah na thi
ek ek pal ki hum ko KHabar is tarah na thi

tha dil mein dard pahle bhi lekin na is qadar
viran to thi hayat magar is tarah na thi

har ek moD maqtal-e-arman-o-arzu
pahle to teri rahguzar is tarah na thi

jab tak saba ne chheDa na tha nikhat-e-gulab
kucha-ba-kucha mahw-e-safar is tarah na thi

barson mein pahle hoti thi nam aastin kabhi
arzan mata-e-dida-e-tar is tarah na thi