aahan ki surKH tal pe hum raqs kar gae
taqdir teri chaal pe hum raqs kar gae
panchhi bane to rifat-e-aflak par uDe
ahl-e-zamin ke haal pe hum raqs kar gae
kanTon se ehtijaj kiya hai kuchh is tarah
gulshan ki Dal Dal pe hum raqs kar gae
waiz fareb-e-shauq ne hum ko lubha liya
firdaus ke KHayal pe hum raqs kar gae
har e'tibar-e-husn-e-nazar se guzar gae
har halqa-ha-e-jal pe hum raqs kar gae
manga bhi kya to qatra-e-chashm-e-tasarrufat
'saghar' tere sawal pe hum raqs kar gae
Ghazal
Aahan ki surKH tal pe hum raqs kar gae
Saghar Siddiqui