aah ye daur ki jis mein lab-o-ruKHsar bike
dast-e-fitrat ke banae hue shahkar bike
dil ke jazbaat bike zehn ke afkar bike
sach to ye hai ki har ek ahd mein fankar bike
asr-e-hazir mein koi chiz bhi anmol nahin
ishq ki aan bike husn ka pindar bike
ek dahakti hui dozaKH ko bujhane ke liye
kitne hi phul se paikar sar-e-bazar bike
nafs ki dewi ka pur-kaif ishaara pa kar
sahib-e-hosh bike sahab-e-kirdar bike
KHud-gharaz chand nigahbanon ke hathon aksar
phul to phul hain gulzar ke gulzar bike
bazm-e-saqi bhi wo bazar-e-tarab hai 'wahid'
ek saghar pe jahan fitrat-e-KHuddar bike
Ghazal
Aah ye daur ki jis mein lab-o-ruKHsar bike
Wahid Premi