aah ye aansu pyare pyare
likh de hisab-e-gham mein hamare
dil bhi tumhaara hum bhi tumhaare
achchha tum jite hum haare
basne bhi de apni gali mein
barson phire hain mare mare
apna apna mazaq-e-gham hai
un ka tabassum ashk hamare
bhul na jaana ai gham-e-jaanan
ji lete hain tere sahaare
aah maal-e-shart-e-mohabbat
jiti-jitai bazi haare
dil to hai KHud ujDa ujDa sa
aah ke gesu kaun sanware
zikr-e-mohabbat jurm hai jaise
nam na le koi un ke mare
nam na nikla us zalim ka
rah gae kanp ke honT hamare
the to 'siraj' bhi us mahfil mein
sab se alag baiThe the kinare
Ghazal
Aah ye aansu pyare pyare
Siraj Lakhnavi