aah wo shoala hai jo ji ko bujha ke uTThe
dard wo fitna hai jo dil ko biTha ke uTThe
aap ki yaad mein hum ai sanam-e-ghaflat-kesh
aise baiThe ki qayamat hi uTha ke uTThe
ek duzdida-nazar se mera dil chhin ke wah
tum kidhar ko meri jaan aankh bacha ke uTThe
arsa-e-hashr tak ek lag gaya tanta un ka
murde qabron se jo tere shohda ke uTThe
ramazan kyunki baras-bhar ko samajh baiThen hum
aae din ke bhi kisi se ye kaDake uTThe
dil-nashin rahmat-e-haq jab se hui hai 'kaifi'
daghdaghe dil se mere roz-e-jaza ke uTThe

Ghazal
Aah wo shoala hai jo ji ko bujha ke uTThe
Dattatriya Kaifi