aah sharminda-e-asar na hui
koi tadbir kargar na hui
multafit aap ki nazar na hui
shaKH-e-ummid barwar na hui
hum ne din jis jagah guzar diya
raat apni wahan basar na hui
aib auron ke DhunDte hain hum
apne afaal par nazar na hui
qissa-e-gham agar na tha kotah
zindagani bhi muKHtasar na hui
rah gai dil mein dagh-e-dil ban kar
wo tamanna jo barwar na hui
dad do mere zabt-e-gham ki mujhe
dil bhi roya to chashm tar na hui
mere taKHil ki bulandi bhi
kabhi mohtaj-e-baal-o-par na hui
KHubiyan dekhiye muqaddar ki
ho gai sham to sahar na hui
un se milne ki aarzu puri
baat mumkin sahi magar na hui
dil pe guzre wo hadse 'shankar'
ek ghaDi chain se basar na hui
Ghazal
Aah sharminda-e-asar na hui
Shankar Lal Shankar