اردو हिंदी
Aah se ya aah ki tasir se | Shaahi Shayari
aah se ya aah ki tasir se

Ghazal

Aah se ya aah ki tasir se

Fani Badayuni

;

aah se ya aah ki tasir se
ji bahal jata kisi tadbir se

ab se gham sahne ki aadat hi sahi
sulh kar len lao charKH-e-pir se

jabr ko kyunkar na samjhun iKHtiyar
tum ne bandha hai mujhe zanjir se

kaam ab us tadbir par hai munhasir
wasta jis ko na ho taqdir se

us nigah-e-naz ka allah re faiz
nisbaten hain zaKHm-e-dil ko tir se

hoshiyar o shoKH-e-be-parwa-KHiram
bach ke meri KHak-e-daman-gir se

ishq-e-'fani' us pe apni ye bisat
khelti hain bijliyan taswir se