اردو हिंदी
Aah se jab dil mein Dube tir ubhaare jaenge | Shaahi Shayari
aah se jab dil mein Dube tir ubhaare jaenge

Ghazal

Aah se jab dil mein Dube tir ubhaare jaenge

Asar Lakhnavi

;

aah se jab dil mein Dube tir ubhaare jaenge
dekh lena dur tak uD kar sharare jaenge

mauj-e-tufan ko jinhon ne chirna sikha nahin
is kinare se bhala kya us kinare jaenge

utni hi rangin hoti jaegi apni nazar
jis qadar tere tasawwur ko sanware jaenge

kuchh na kuchh ho hi rahega dard-mandi ka maal
jaan ke dushman tujhi ko hum pukare jaenge

KHak ho kar bhi na aaega unhen dam bhar qarar
uTh ke tere dar se jo aafat ke mare jaenge

ek harf-e-dil-nashin! ye bhi nahin to ek nigah
dur jaane wale kyun-kar be-sahaare jaenge

baiThe sahil par gina karte hain jo lahren 'asar'
waqt paDne par bhala kya dhaare dhaare jaenge