aah-o-nala ne kuchh asar na kiya
hijr ki sham ko sahar na kiya
talKHi-e-sabr KHush-gawar hui
zahr ne bhi mujhe asar na kiya
sar ko phoDa jo kohkan ne to kya
ishq mein kis ne nazr-e-sar na kiya
kaun si aisi aafat aai jab
aasman ne mujhe sipar na kiya
kanpta hai wo dil ghazab se tere
jis ne ai but KHuda ka Dar na kiya
jis ne dekha wo roe aatishnak
phir guman use ne barq par na kiya
kuch apna bhi ho gaya 'ahqar'
gham-o-andoh ne safar na kiya

Ghazal
Aah-o-nala ne kuchh asar na kiya
Radhe Shiyam Rastogi Ahqar