aah-o-nala dard-o-gham shor-e-fughan hai aaj bhi
yani har bulbul asir-e-baghban hai aaj bhi
hae tum us ko samajhte ho gulistan ka harif
bijliyon ki zad mein jis ka aashiyan hai aaj bhi
naqsh-e-azadi jabinon se numayan hai magar
daman-e-dil par ghulami ka nishan hai aaj bhi
manzil-e-maqsud par pahunche hain sab ke qafile
sirf meri sai-e-paiham raegan hai aaj bhi
us ke afsane pe koi tabsira be-sud hai
shadman ho kar bhi jo na-shadman hai aaj bhi
tu abhi apni haqiqat se nahin hai aashna
tere qabze mein inan-e-do-jahan hai aaj bhi
main azal hi se samajhta hun tujhe apna 'aziz'
ye teri fitrat ki tu daman-kashan hai aaj bhi
Ghazal
Aah-o-nala dard-o-gham shor-e-fughan hai aaj bhi
Aziz Warsi