aah-o-fariyaad ka asar dekha
KHud ko majbur beshtar dekha
ban gaya hai naqab-e-tang-dili
shohra-e-wusat-e-nazar dekha
jism ne Dal di sipar jab se
ruh ko aazim-e-safar dekha
hashr ka mo'taqid hua jis ne
manzar-e-matla-e-sahar dekha
naw sahil pe lag gai aa kar
apne shana pe un ka sar dekha
tama pindar jaur hirs fareb
gamzan karwan-e-zar dekha
shubh-e-zauq-e-nazar na ho jis par
ek aisa bhi dida-war dekha
kar liya un ke ijtinab pe sabr
jab se aghmaz rahbar dekha
dil ka aaina ru-ba-ru lae
is liye un ko KHud-nigar dekha
jis ki ek apni kaenat na ho
'hamid' aisa koi bashar dekha
Ghazal
Aah-o-fariyaad ka asar dekha
Syed Hamid