aah milte hi phir judai ki
wah kya KHub aashnai ki
na gai teri sar-kashi zalim
hum ne har-chand jabba-sai ki
dil nahin apne iKHtiyar mein aaj
kya magar tu ne aashnai ki
dar pe ai yar tere aa pahunche
tapish-e-dil ne rahnumai ki
qabil-e-sajda tu hi hai ai but
sair ki hum ne sab KHudai ki
jo muqayyad hain teri ulfat ke
aarzu kab unhen rihai ki
ji mein 'bedar' khap gai mere
KHandaq us panja-e-hinai ki
Ghazal
Aah milte hi phir judai ki
Meer Mohammadi Bedar